Ya Hussain Ya Hussain

Shaheed-E-Karbala Ki Momino Jab Yaad Aati Hai
Tarap Jati Hai Dunya Khoon Ke Aanso Bahati Hai
Ya Hussain! Ya Hussain!
(Oh Believers, When We Remember The Martyrs Of Karbala
The World Yearns, Sheds Tears Of Blood
Oh Hussain! Oh Hussain!)

Shah Ast Hussain Baadshah Hast Hussain
Deen-ast Hussain Deen-Pana Hast Hussain
Sar Dad Na Dad Dast Dar Dast-E-Yazeed
Haq-A Ke Binae La Ila Hast Hussain
(Hussain Is The Master, Hussain Is The King,
Hussain Is Faith, Hussain Is Refuge For The Faith,
He Gave His Head But Not His Hand In Yazeed's Hand,
Verily Hussain Is The Foundation Of La'illah)

Sajday Mein Sir Katanay Ko Aakhir Kata Dia
Laikin Khuda Ke Naam Ka Danka Baja Dia
Ya Hussain! Ya Hussain!

Deed Ki Gar Talaash Hai Sir Ko Jhuka Namaaz Mein
Dil Se Khudi Ko Door Ker Khud Ko Mita Namaaz Mein
Aaye Ga Tujh Ko Tab Nazar Ro-E-Khuda Namaaz Mein
Pehle Hussain Ki Tarah Sir Ko Kata Namaaz Mein
Aur Keh Ya Hussain! Ya Hussain!

Kiss Ki Majaal Ay Hussain Kiss Ko Ho Tujh Say Hamsari
Baap Ke Ghar Immayatein Nana Ke Ghar Payambari
Shakl-E-Hussain Daikh Ker Haq Bhi Kahay Ga Hashr Mein
Ay Mairay Mustafa Ke Laal Ummat-E-Mustafa Ber'ee
Ya Hussain! Ya Hussain!

Salami Karbala Mein Kia Qayamat Ki Ghari Hogi
Churi Shabbir Ki Gardan Pay Jiss Dam Chal Rahi Hogi
Kalay'ja Thaam Ker Peer-E-Falak Bhi Reh Gaya Hoga
Kalajay Per Ali Akbar Ke Barchi? Jab Lagi Hogi

Mujhay Janay Do Pani Bhar Ke Yeah Abbas Kehtay Thay
Kayii Din Ki Piyasi Hai Sakina Ro Rahi Hogi
Luti Hai Jaisay Dunya Karbala Mein Ibn-E-Haider Ki
Kisi Mazloom Ki Dunya Na Dunya Mein Luti Hogi

Mohammad Ke Nawasay Nai Jo Ke Taighon? Ke Sa'ay Mein
Bashar To Kia Farishtoon Se Na Aise Bandagi Hogi
Nabi Se Paishtar Maishar Mein Ummat Bakhswanay Ko
Hussain Ibn-E-Ali Aa'ain Gay Dunya Daikhti Hogi

Hamaray Khoon Ke Badlay Mein Ummat Bakhsh Day Ya Rub
Khuda Se Hashar Mein Yeah Iltija Shabbir Ki Hogi
Baray Ghamkhaar Hein Wo Gham Na Ker? Bakshish Ka Ay Purnam
Karam Say Punj-Tun K Hashar Mein Bakhsish Teri Hogi
Ya Hussain! Ya Husaain!

Ey Jab Chaand Tan Say Niklay Lab Per Tairay Ho Kia
Ya Hussain! Ya Hussain!
Husn Ki Ibtida Hein Wo Ishq Ki Intiha Hein Wo
Ya Hussain! Ya Hussain!
Post a Comment (0)
Previous Post Next Post